Tum mere ho iss pal mere ho
Kal shayad yeh aalam na rahe
Kuch aisa ho tum tum na raho
Kuch aisa ho hum, hum na rahein…
Yeh raaste alag ho jaaye
Chalte chalte hum kho jaayein…
Main phir bhi tumko chahunga…
Main phir bhi tumko chahunga…
Iss chahat mein marr jaaunga
Main phir bhi tumko chahunga
Meri jaan mein har khamoshi le
Tere pyaar ke naghme gaaunga
Mmm…
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Iss chahat mein marr jaaunga
Main phir bhi tumko chahunga
Aise zaroori ho mujhko tum
Jaise hawayein saanson ko
Aise talashun main tumko
Jaise ki per zameeno ko
Hansna ya rona ho mujhe
Paagal sa dhoondu main tumhe
Kal mujhse mohabbat ho na ho
Kal mujhko ijazat ho na ho
Toote dil ke tukde lekar
Tere darr pe hi reh jaaunga
Mmm…
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Iss chahat mein marr jaaunga
Main phir bhi tumko chahunga
Tum yun mile ho jabse mujhe
Aur sunehari main lagti hoon
Sirf labon se nahi ab toh
Poore badan se hansti hoon
Mere din raat salone se
Sab hai tere hi hone se
Yeh saath hamesha hoga nahin
Tum aur kahin main aur kahin
Lekin jab yaad karoge tum
Main banke hawaa aa jaaunga
O…
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Iss chahat mein marr jaunga
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
No comments:
Post a Comment